Firaq Mein KHun-e-dil Hain Pite Sharab Hum Le Ke Kya Karenge

firaq mein KHun-e-dil hain pite sharab hum le ke kya karenge

hamara dil aap bhun raha hai kabab hum le ke kya karenge

jo un se kahta hun yar hazir hai ye hamara dil-e-shikasta

to hans ke kahte hain naz se wo janab hum le ke kya karenge

nahin hai fursat yahin ke jhagDon se fikr-e-uqba kahan ki waiz

azab-e-duniya hai hum ko kya kam sawab hum le ke kya karenge

sawal be-sud jaante hain rahen na KHamosh to karen kya

ewaz mein bose ke tum se sahab jawab hum le ke kya karenge

ye qaul hai rahmat-e-KHuda ka Daro na tum ai gunah-garo

shumar-e-isyan agar nahin hai hisab hum le ke kya karenge

(976) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Firaq Mein KHun-e-dil Hain Pite Sharab Hum Le Ke Kya Karenge In English By Famous Poet Zeba. Firaq Mein KHun-e-dil Hain Pite Sharab Hum Le Ke Kya Karenge is written by Zeba. Read famous Poem Firaq Mein KHun-e-dil Hain Pite Sharab Hum Le Ke Kya Karenge for youth and Student by Zeba. Free Download Firaq Mein KHun-e-dil Hain Pite Sharab Hum Le Ke Kya Karenge in PDF.