Kis Sher Mein Sana-e-ruKH-e-mah-jabin Nahin

kis sher mein sana-e-ruKH-e-mah-jabin nahin

hai aasman-e-husn ghazal ki zamin nahin

kyunkar kahun ki tum sa koi naznin nahin

aajiz kuchh ai hasin mera husn-afrin nahin

ek ek suKHan pe karte hain sau sau nahin nahin

kya dusra jahan mein tum sa hasin nahin

tujh sa jahan mein ai yam-e-KHubi hasin nahin

hai mauj-e-bahr-e-husn ye chin-e-jabin nahin

achchhi nahin hai roz ki ai naznin nahin

han han payam-e-wasl pe kijiye nahin nahin

kabe mein but-kade mein na dil mein na arsh par

ai but kahan nihan hai ki milta kahin nahin

jalwa tera kahan nahin ai aasman-e-husn

jis ja falak na ho koi aisi zamin nahin

tanhai-e-lahad se na ghabraen kis tarah

munis nahin shafiq nahin ham-nashin nahin

paiman-shikan jahan mein na hoga huzur sa

ifa-e-wada tum se agar ho yaqin nahin

kya ham-sari karega teri mah-e-asman

abru nahin teri si teri si jabin nahin

maujud jism mein hai par aankhon se hai nihan

tar-e-nigah hai kamar-e-naznin nahin

ro-ro ke haal-e-ishq jo kahta hun un se main

hans hans ke mujh se kahte hain hum ko yaqin nahin

kis din unhon ne sidhi tarah hum se baat ki

ulTi hamare qatl pe kab aastin nahin

wo dil udas hai ki jo KHali hai ishq se

viran hai wo makan ki jis mein makin nahin

bosa talab kiya sar-e-mahfil jo yar se

boli haya-e-ru-e-nigarin nahin nahin

mayus wasl se dil-e-gham-ghin hai kis qadar

har chand ham-kanar hain wo par yaqin nahin

aankhon mein nur dil mein ziya sine mein safa

jalwa kahan kahan tera ai naznin nahin

(1488) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Sher Mein Sana-e-ruKH-e-mah-jabin Nahin In English By Famous Poet Zeba. Kis Sher Mein Sana-e-ruKH-e-mah-jabin Nahin is written by Zeba. Read famous Poem Kis Sher Mein Sana-e-ruKH-e-mah-jabin Nahin for youth and Student by Zeba. Free Download Kis Sher Mein Sana-e-ruKH-e-mah-jabin Nahin in PDF.