Kya Mila Qais Ko Gard-e-rah-e-sahra Ho Kar

kya mila qais ko gard-e-rah-e-sahra ho kar

rah gaya hota ghubar-e-dar-e-laila ho kar

yaad aate hain chaman mein jo kisi ke aariz

gul khaTakte hain meri aankhon mein kanTa ho kar

pahle kya tha jo kiya karte the tarif meri

ab hua kya jo bura ho gaya achchha ho kar

dil mein rakh gard-e-kudurat na bahut ai kam-bin

kahin rah jae na ye aaina andha ho kar

hijr mein yaad-e-mizha aur bhi taDpati hai

qalb-e-bismil mein khaTakti hai ye kanTa ho kar

nala-e-garm ne tasir ajab dikhlai

rah gaya misl-e-charagh aap mein ThanDa ho kar

yar ke ruKH ki sabahat ka tasawwur shab-e-hijr

aaya taskin ko meri nur ka taDka ho kar

dil se kahta hai gham-e-ulfat-e-jaanan dam-e-marg

tum to duniya se chale main rahun kis ka ho kar

chhoDna ai gham-e-ulfat na kabhi sath us ka

kahin ghabrae mera dil na akela ho kar

aae to wasl ka din ho to kahin bos-o-kanar

sab nikal jaegi sharm un ki pasina ho kar

jism-e-anwar ki latafat ki sana kya kije

jama-e-yar na utra kabhi maila ho kar

dahr ki dekhte hain past-o-buland ai 'zeba'

karbala jaenge is waste batha ho kar

(1200) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Mila Qais Ko Gard-e-rah-e-sahra Ho Kar In English By Famous Poet Zeba. Kya Mila Qais Ko Gard-e-rah-e-sahra Ho Kar is written by Zeba. Read famous Poem Kya Mila Qais Ko Gard-e-rah-e-sahra Ho Kar for youth and Student by Zeba. Free Download Kya Mila Qais Ko Gard-e-rah-e-sahra Ho Kar in PDF.