Na Hoga Hashr Mahshar Mein Bapa Kya

na hoga hashr mahshar mein bapa kya

na hoga mera un ka faisla kya

dagha dega mujhe wo pur-jafa kya

na aaDe aaegi meri wafa kya

chaman mein kis liye gul hans rahe hain

shagufa tu ne chhoDa ai saba kya

chalo bigDo na mah kahne par itna

bashar se ho nahin jati KHata kya

unhen tark-e-talluq hai jo manzur

mujhe ilzam dete hain wo kya kya

wo kab ka bah gaya sab KHun ho kar

lagaega koi dil ka pata kya

kiya hai wada-e-farda kisi ne

na hogi ab qayamat bhi bapa kya

KHuda ki bhi nahin sunte hain ye but

bhala main kya hun meri iltija kya

jafaon ke liye ki thin wafaen

natija dosti ka hai dagha kya

unhin ki si ye dil bhi kah raha hai

misal-e-chashm-e-jaanan phir gaya kya

ajab andaz se nikla mera dam

ada-e-yar thi meri qaza kya

manane se nahin manta jo koi

hamara dam KHafa hota hai kya kya

diye dukh bhi to ji bhar ke na hum ko

falak tu kya hai tera hausla kya

dagha di hum ko dil le kar hamara

yahi jurm-e-wafa ki thi saza kya

mujhe kyun aaj hichki aa rahi hai

koi yaad aai aur un ko jafa kya

karen shikwa na sahab dahr ka bhi

zamane mein tumhin ho bewafa kya

shab-e-furqat dagha di zabt ne bhi

dila sach hai kisi ka aasra kya

wo be-KHud pa ke 'zeba' ko ye bole

dil aaya aap ka mera gaya kya

(1370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Hoga Hashr Mahshar Mein Bapa Kya In English By Famous Poet Zeba. Na Hoga Hashr Mahshar Mein Bapa Kya is written by Zeba. Read famous Poem Na Hoga Hashr Mahshar Mein Bapa Kya for youth and Student by Zeba. Free Download Na Hoga Hashr Mahshar Mein Bapa Kya in PDF.