Kab Tak Wo Mohabbat Ko Nibhata Nazar Aata

kab tak wo mohabbat ko nibhata nazar aata

ab main bhi nahin jaan se jata nazar aata

tum to meri har samt hawaon ki tarah ho

mausam koi furqat ka jo aata nazar aata

hai raushni itni ki dikhai hi na kuchh de

warna hamein is taq mein data nazar aata

chalti zara tezi se hawa to main patangen

kuchh aur bulandi pe uData nazar aata

manzar mein tajassus hai na jadu na kashish hai

hote to ye wo KHwab dikhata nazar aata

main waqt ki sui se bandha rahta hun warna

sahra mein bahut ret uData nazar aata

aao zara is samt se dekho wo zamin hai

har ek hai duje ko miTata nazar aata

'zishan' buton mein jo koi zindagi hoti

main sab se zabardast banata nazar aata

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Tak Wo Mohabbat Ko Nibhata Nazar Aata In English By Famous Poet Zeeshaan Sajid. Kab Tak Wo Mohabbat Ko Nibhata Nazar Aata is written by Zeeshaan Sajid. Read famous Poem Kab Tak Wo Mohabbat Ko Nibhata Nazar Aata for youth and Student by Zeeshaan Sajid. Free Download Kab Tak Wo Mohabbat Ko Nibhata Nazar Aata in PDF.