Kaam Itne Hain Ki Aaram Nahin Jaante Hain

kaam itne hain ki aaram nahin jaante hain

log ye sab se aham kaam nahin jaante hain

facebook par hain mere jaanne wale lakhon

mere ham-sae mera nam nahin jaante hain

ishq mein zehn ko taklif na di dil ki suni

hum usi waste anjam nahin jaante hain

hamein bas itna pata hai ki KHuda hota hai

hum in aqsam ki aqsam nahin jaante hain

sab ne cigarette ki tarah munh se laga li duniya

hai nasha itna ki anjam nahin jaante hain

de to sakte hain sabhi jaan KHuda ki KHatir

par KHudawand ke ahkaam nahin jaante hain

main ki logon mein bahut kam hi raha hun 'zishan'

is liye log mujhe aam nahin jaante hain

(1244) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Itne Hain Ki Aaram Nahin Jaante Hain In English By Famous Poet Zeeshaan Sajid. Kaam Itne Hain Ki Aaram Nahin Jaante Hain is written by Zeeshaan Sajid. Read famous Poem Kaam Itne Hain Ki Aaram Nahin Jaante Hain for youth and Student by Zeeshaan Sajid. Free Download Kaam Itne Hain Ki Aaram Nahin Jaante Hain in PDF.