Tamannaen Aziyyat Ka Nazara Hum Na Kahte The
tamannaen aziyyat ka nazara hum na kahte the
KHasara hai KHasara hi KHasara hum na kahte the
tumhaari intihaen ant par be-sud nikli hain
samundar jitna gahra utna khaara hum na kahte the
na tu bandon se hai raazi na bande tujh se raazi hain
KHudai rog hai parwardigara hum na kahte the
ye maidan-e-tag-dau hai mashaqqat hi mashaqqat hai
wahi jitega jo sau bar haara hum na kahte the
ghulami ko to aazadi samajhte hain yahan insan
ye hathkaDiyon mein kar lenge guzara hum na kahte the
chuna tha tu ne jo rasta use hum tark kar aae
siyanon ko hai kafi ek ishaara hum na kahte the
sabhi ne apne tinke bhi bil-aKHir KHud uThae hain
nahin hoga yahan koi sahaara hum na kahte the
na 'zishan' aagahi puri hui umren huin puri
na hoga ilm ka koi kinara hum na kahte the
(1176) Peoples Rate This