Waqt Ki Barf Hai Har Taur Pighalne Wali

waqt ki barf hai har taur pighalne wali

din bhi hai zer-e-safar sham bhi Dhalne wali

ishq sae ki tarah sath chipak jata hai

ye bala to na kisi taur hai Talne wali

hum wo pahiye jo agar sath barabar na chale

ek meter bhi ye gaDi nahin chalne wali

ek dhaDka hai mere dil ko KHabardari ka

ek KHwahish hai mere zehn mein palne wali

zard kah kar nazar-andaz kiya tha jis ko

ab wahi shaKH hui phulne-phalne wali

hai ajab waqt ki holi ki har ek chakkar par

sui chehre pe naya rang hai malne wali

daera toDa to hairat hi dar aai 'zishan'

ab ye hairat nahin andar se nikalne wali

(1505) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ki Barf Hai Har Taur Pighalne Wali In English By Famous Poet Zeeshaan Sajid. Waqt Ki Barf Hai Har Taur Pighalne Wali is written by Zeeshaan Sajid. Read famous Poem Waqt Ki Barf Hai Har Taur Pighalne Wali for youth and Student by Zeeshaan Sajid. Free Download Waqt Ki Barf Hai Har Taur Pighalne Wali in PDF.