Raat Ki KHamoshi Ka Matha Thanka Tha

raat ki KHamoshi ka matha Thanka tha

jaane kis ke hath ka kangan khanka tha

jhil ne apne sine par yun Tank liya

jaise main aawara chand gagan ka tha

us ka lawn bahaaron se aabaad raha

sukh gaya jo peD mere aangan ka tha

tere qurb ki KHush-bu se maghlub hua

dil mein jo aaseb akele-pan ka tha

dil se dar-o-diwar ki KHwahish kyun na gai

sahra ka mahaul to mere man ka tha

ram use kar leta sachcha ishq mera

lekin wo 'zishan' pujari dhan ka tha

(1101) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ki KHamoshi Ka Matha Thanka Tha In English By Famous Poet Zeeshan Ilahi. Raat Ki KHamoshi Ka Matha Thanka Tha is written by Zeeshan Ilahi. Read famous Poem Raat Ki KHamoshi Ka Matha Thanka Tha for youth and Student by Zeeshan Ilahi. Free Download Raat Ki KHamoshi Ka Matha Thanka Tha in PDF.