Sar UThaya Mazhabi Diwar Par PaTka Hua

sar uThaya mazhabi diwar par paTka hua

rah par aane laga dil rah se bhaTka hua

ras-kashi ki dawaten dete rahe taza gulab

jhaDiyon mein tha magar titli ka par aTka hua

tazkira hone laga jab aastin ke sanp ka

pas hi ehsas mujh ko sarsarahaT ka hua

tishna-e-didar mein hi to nahin hun in dinon

us ke ghar ke aaine ka bhi hai munh laTka hua

ajnabi mahaul mein kho jaane ka Dar hai to kya

tham lun daman tera mein barha jhaTka hua

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar UThaya Mazhabi Diwar Par PaTka Hua In English By Famous Poet Zeeshan Ilahi. Sar UThaya Mazhabi Diwar Par PaTka Hua is written by Zeeshan Ilahi. Read famous Poem Sar UThaya Mazhabi Diwar Par PaTka Hua for youth and Student by Zeeshan Ilahi. Free Download Sar UThaya Mazhabi Diwar Par PaTka Hua in PDF.