Kisi Ki Den Hai Lekin Meri Zarurat Hai

kisi ki den hai lekin meri zarurat hai

junun kamal nahin hai kamal-e-wahshat hai

main zindagi ke sabhi gham bhulae baiTha hun

tumhaare ishq se kitni mujhe sahulat hai

guzar gai hai magar roz yaad aati hai

wo ek sham jise bhulne ki hasrat hai

zamane wale to shayad nahin kisi qabil

jo milta rahta hun un se meri murawwat hai

hawa bahaar ki aaegi aur main chumunga

wo sare phul ki jin mein teri shabahat hai

KHuda rakhe teri aankhon ki dil-nawazi ko

teri nigah meri umr bhar ki daulat hai

tere baghair bujha ja raha hun andar se

jo Thik-Thak hun bahar se to ye aadat hai

jo ho sake to mujhe apne pas rakh lena

tera visal to ek sanwi saadat hai

tere baghair koi kaise zinda rahta hai

magar main hun ki yahi ishq ki riwayat hai

(1507) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ki Den Hai Lekin Meri Zarurat Hai In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Kisi Ki Den Hai Lekin Meri Zarurat Hai is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Kisi Ki Den Hai Lekin Meri Zarurat Hai for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Kisi Ki Den Hai Lekin Meri Zarurat Hai in PDF.