Kis Qadar Mahdud Kar Deta Hai Gham Insan Ko

kis qadar mahdud kar deta hai gham insan ko

KHatm kar deta hai har ummid har imkan ko

git gata bhi nahin ghar ko sajata bhi nahin

aur badalta bhi nahin wo saz ko saman ko

itne barson ki riyazat se jo qaem ho saka

aap se KHatra bahut hai mere is iman ko

koi rukta hi nahin is ki tasalli ke liye

dekhta rahta hai dil har ajnabi mehman ko

ab to ye shayad kisi bhi kaam aa sakta nahin

aap hi le jaiye mere dil-e-nadan ko

shahr walon ko to jaise kuchh pata chalta nahin

rokta rahta hai sahil roz-o-shab tufan ko

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qadar Mahdud Kar Deta Hai Gham Insan Ko In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Kis Qadar Mahdud Kar Deta Hai Gham Insan Ko is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Kis Qadar Mahdud Kar Deta Hai Gham Insan Ko for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Kis Qadar Mahdud Kar Deta Hai Gham Insan Ko in PDF.