Jo Mere Bas Mein Hai Us Se Ziyaada Kya Karna

jo mere bas mein hai us se ziyaada kya karna

safar to karna hai us ka irada kya karna

bas ek rang hai dil mein kisi ke hone se

ab apne-ap ko is se bhi sada kya karna

jab apni aag hi kafi hai mere jine ko

to mahr o mah se bhi istifada kya karna

tere labon ke siwa kuchh nahin mayassar jab

so fikr-e-saghar-o-saqi-o-baada kya karna

tamam kashtiyan sahil pe hain abhi Thahri

abhi se in ko jalane ka wada kya karna

(1248) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Mere Bas Mein Hai Us Se Ziyaada Kya Karna In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Jo Mere Bas Mein Hai Us Se Ziyaada Kya Karna is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Jo Mere Bas Mein Hai Us Se Ziyaada Kya Karna for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Jo Mere Bas Mein Hai Us Se Ziyaada Kya Karna in PDF.