Agar Aap

agar aap ek daraKHt hain

to zahir hai

sab se pahle

aap ko banna chahiye

ek saya-dar jagah

aur agar aap ke patte

kisi KHizan mein gir jaen

to aap ki koshish honi chahiye

ki bahaar ka pahla phul

ya barish ke baad khilne wali pahli konpal

aap hi ke hisse mein aae

agar aap ek daraKHt hon

aur koi aap ko kaT Dale

to afsos mat kijiyega

ho sakta hai aap ka talluq

daraKHton ke us KHandan se ho

jis mein hazaron baras pahle

kisi nabi ne panah li thi

apne kaT ke le jae jaane par

afsos mat kijiyega

ho sakta hai

aap se ek aisi kursi banai jae

jis par baiTh ke

koi laDki apne mahbub ko

hamesha yaad karti rahe

ya phir aap se bane ek aisi mez

jis ke samne koi udas shaer

sitaron bhari nazmen likhta rahe

ya ho sakta hai

aap se ek aisi siDhi banai jae jise diwar ke sath laga ke

hum aasman tak ja saken

ya phir aap se

koi aisa pul banaya jae

jis par khaDi ho ke

log ek dusre se

hamesha milne ke liye

sikke phenka karen

agar aap daraKHt ban jaen

to kisi sarkari imarat ke ahate

ya kasi chhoTe se raste ke darmiyan

mat aaiyega

warna hamein aap ko haTane ka bahut afsos hoga

aur aap siwae rakh hone ke

aur kuchh nahin kar sakenge

(1231) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Aap In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Agar Aap is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Agar Aap for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Agar Aap in PDF.