Bachchon Ki Bicycle

bachchon ki bicycle

maidan-e-jang mein

kisi kaam nahin aati

tank ko aata dekh ke

Dar ke mare chal nahin pati

ghanTi nahin bajati

ek jagah jam jati hai

itni chhoTi ho jati hai

ki tank ko nazar nahin aati

jab tank apna rasta banate hue

us pe se guzar jata hai

to ek halki si aawaz

har taraf phail jati hai

ek chhoTa sa dhabba

zamin pe numudar ho jata hai

tank aage baDhta hai to bahut si

chhoTi chhoTi bicyclen

tank ko gher leti hain

ghanTiyan baja baja ke pagal kar deti hain

bhagne nahin detin

Dara Dara ke KHatm kar deti hain

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bachchon Ki Bicycle In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Bachchon Ki Bicycle is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Bachchon Ki Bicycle for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Bachchon Ki Bicycle in PDF.