Dusra Aasman

pahle din baadal zaKHmi ho gae

dusre din sitare

aur tisre din

bahut si goliyan nile aasman ko ja lagin

aur wo siyah ho gaya

aansuon ki tarah koi chiz

zamin par girne lagi

kabhi KHamoshi ke sath bahut sari bunden

aur kabhi saDak par shor machata hua

mosla-dhaar pani

zaKHmi aasman

buri tarah ro raha tha

us ne apna chehra

bahut sare baadalon se Dhaka hua tha

hum use hansane ki koshish mein bahar nikalte

to barish aur tez ho jati

siyah aur maTyali kichaD apne juton mein lagae

hum phir ghar mein aa jate

aasman ke aansu

qalin mein jazb ho jate

ya hamare kapDon ke sath sare ghar mein phail jate

pakke farsh par hamare kichaD bhare pairon ke nishan

aasman ke zaKHmon ki tarah

kabhi halke aur kabhi gahre ho jate

aasman ki taraf jaane wali duaen

tez barish ke sath wapas aa kar

gili miTTi mein ghaeb ho jatin

chhoTi chhoTi chhatriyan

aasman ki ya hamari qismat ke liye na-kafi thin

aise mausam mein thoDi der ke liye

agar wo firing band kar dete

to shayad hamari tarah

aasman bhi achchha ho jata

pahle se ziyaada nila aur chamakdar

(1330) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dusra Aasman In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Dusra Aasman is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Dusra Aasman for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Dusra Aasman in PDF.