Ek LaDki Ne Aaina Dekha

ek laDki ne aaina dekha

aaine mein khile hue the phul

aaine mein charagh jalte the

aaina ek rahguzar tha jahan

KHwab KHwabon ke sath chalte the

aaine mein bana hua tha bagh

bagh mein sham hone wali thi

(sham ke phailte andhere mein

laDkiyan bagh mein nahin jatin)

aaine mein na tha koi dariya

aaine mein na tha koi jangal

aaine mein na tha koi sahra

aaine mein na tha koi baadal

aaine mein bas ek samundar tha

(laDkiyan jis se Darti rahti hain)

aur samundar ki nil-gun tah mein

ek laDki ne aaina dekha

aaine mein khile hue the phul

aaine mein charagh jalte the

aaina ek rahguzar tha jahan

KHwab KHwabon ke sath chalte the

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek LaDki Ne Aaina Dekha In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Ek LaDki Ne Aaina Dekha is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Ek LaDki Ne Aaina Dekha for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Ek LaDki Ne Aaina Dekha in PDF.