Footpath Ke Log

shahr mein kuchh bhi ho jae

ye log kahin nahin jate

ya shayad hum

gharon mein rahne walon ko

aisa hi lagta hai

jab subh subh hamein kahin jaana paDta hai

to unhen footpath par

be-KHabari ke aalam mein sota dekh kar

hum un ki zindagi ke bare mein

sochte hain

magar wapsi tak bhul jate hain

hamari gaDi ko traffic-jam mein

phansa dekh kar

ye hanste hain to hamein

apne-ap par rona aata hai

har roz ek hi jagah unhen dekh ke

hamein hairat hoti hai

tez dhup mein unhen jalta dekh kar

hamein afsos hota hai

unhen barish mein bhigta dekh kar

hum KHub hanste hain

har raat jab ye soe hue hote hain

andhere footpath par se

guzarte hue

hum unhen Thokaren marte hain

aur kabhi muafi nahin mangte

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Footpath Ke Log In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Footpath Ke Log is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Footpath Ke Log for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Footpath Ke Log in PDF.