Ghumte Hue Glob Par

ghumte hue glob par

hum apne panw jamane ki koshish karte hain

aur gir paDte hain duniya ke kisi aur hisse mein

aur phir wahin se apni koshish dobara shurua kar dete hain

aur phir kahin aur se, aur phir

hum ek aisi jang laD rahe hain

jis mein dushman ko jitne ke liye laDne ki bhi zarurat nahin

hamein malum hai apni shikast ke bare mein

aur hamein malum hai ghumte hue glob par

bhure pahaD, hare jangal aur nila pani maujud hai

glob ke sath ghumte hue

main jab tum tak pahunchta hun

tum dusri taraf chali jati ho

jab hamari taraf din hota hai

tumhaare hisse mein raat aa jati hai

aur jab tumhaare hisse mein din hota hai

to raat hamara muqaddar hoti hai

ghumte hue glob par

main us hisse tak pahunchna chahta hun

jo glob ke sath nahin ghumta

aur jahan se hum glob ko ghumta hua

dekh sakte hain

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghumte Hue Glob Par In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Ghumte Hue Glob Par is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Ghumte Hue Glob Par for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Ghumte Hue Glob Par in PDF.