Hamein Har Roz

hamein har roz

phul KHaridne chahiyen

aur mom-battiyan

aur pani ki KHali botalen

aur plastic ke bartan

jang mein koi bhi chiz kaam aa sakti hai

hamein khilaune nahin KHaridne chahiyen

kitabon ki taraf nahin dekhna chahiye

dhup ke chashme aur chhatriyan chhupa deni chahiyen

gas-lighter bhi chhupa dene chahiyen

hamein apni jeb mein biscuit

aur machis ki Dibiya hamesha rakhni chahiye

kisi ko dene ya kuchh jalane ke liye

ek rumal bhi zaruri hai

zaKHmi ungliyon ya jalti hui aankhon ke liye

ek post-card rozana

latter-box mein Dal dene chahiye

Dak nizam bahaal hone par

hamari KHairiyat doston tak pahunch jaegi

shayad wo hamari talash mein idhar aa jaen

jahan bar bar Dhone wale log

khoe hue hain

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Har Roz In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Hamein Har Roz is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Hamein Har Roz for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Hamein Har Roz in PDF.