Nazm

mohabbat ka sabaq aasan tha lekin bhula baiTha

main ek shole ke jis se dur rahta tha

bahut nazdik aa baiTha

badan to KHair jalna tha magar main

ruh tak apni jala baiTha

sitare toD kar lana bahut aasan tha

lekin main un ko bahte pani mein gira baiTha

parinde sham hone par chaman mein

aashiyan ke pas aa pahunche the

main un ko uDa baiTha

dariche se hawa aane lagi thi

KHwab jag uTThe the

main raste mein aa baiTha

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazm In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Nazm is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Nazm for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Nazm in PDF.