Yaaden

KHamoshi aur phulon ko mat toDo

warna bahut si baaton se bhari hui ye raat

zindagi se KHali ho jaegi

hamari subhen is andhere mein chhupi hain

unhen mat DhunDo

wo raat mein bolne wale jhinguron ki tarah hoti hain

jo KHamosh ho jaane par nahin milte

main ne apne hire

zamin ke jis hisse mein chhupae the

wahan koi baadal bhi nahin tha

aur mujhe yaad aata hai

un dinon meri har chiz barf se bani hoti thi

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaaden In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Yaaden is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Yaaden for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Yaaden in PDF.