Ye Ek Mohabbat Hai

shayad ye ek

tawil KHat ka KHulasa hai

jo tum tak nahin pahunch sakega

ek na-mukammal kahani ka iqtibas

jise tum nahin sun sakoge

shayad ye tumhaare liye likhi jaane wali taqrir ka ibtidai hissa hai

ya us git ke bol

jo sirf almaiya mauqon par gaya jata hai

ya wo paigham jise sari duniya mein

bar bar dohraya jata hai

ye aansu hai jo marne walon ki

jeb se baramad hota hai

ye ek tir hai

jo zinda rahne walon ke dil mein hamesha paiwast rahta hai

ek talwar jis se aankhen nikali ja sakti hain

aur ek pistol jo sirf

kanpaTi par rakh ke chalai jati hai

ye ek sitara hai jo barish ke baad numudar hota hai

ek baadal jo kabhi numudar nahin hota

aur ek mohabbat jo sitaron aur baadalon mein

chhupne ki koshish karti rahti hai

(1301) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ek Mohabbat Hai In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Ye Ek Mohabbat Hai is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Ye Ek Mohabbat Hai for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Ye Ek Mohabbat Hai in PDF.