Zaitun Ka DaraKHt

mere pas

koi bagh nahin hai dost

kuchh adhure KHwab ek balcony

aur do tin gamle hain

jo mujhe duniya mein daraKHton ke

baqi rahne ki wajuhat batate hain

aur jangalon ko jala diye jaane ki KHabren pahunchate hain

meri bahan mere kamzor pairon mein

zaitun ke tel se jaan Dalne ki koshish karti hai

man hoti to wo bhi yahi karti

kash sari duniya mein

zaitun ke tel ke kuen hon

aur kamzor pairon mein jaan paD jae

aur hum apne pyaron ke sath

mohabbat ke bagh mein roz chahal-qadmi kar saken

ek daraKHt tumhaare nam ka bhi hoga

mere dost

taki hum hamesha mohabbat aur shifa-yabi ke moajaze mein

ek dusre ke sharik rahen

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaitun Ka DaraKHt In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Zaitun Ka DaraKHt is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Zaitun Ka DaraKHt for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Zaitun Ka DaraKHt in PDF.