Ab Tak Sharik-e-mahfil-e-aghyar Kaun Hai

ab tak sharik-e-mahfil-e-aghyar kaun hai

hum bewafa hue to KHata-war kaun hai

yan sab ko mil gae hain sahaare ba-qadr-e-shauq

tum sochte rahe ki talabgar kaun hai

nazron ne kis ki chaak kiye parda-ha-e-rang

sanwla diya hai jis ne ruKH-e-yar kaun hai

daman hazar chaak gareban hazar wa

ye dekhna hai kitna gunahgar kaun hai

(1135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tak Sharik-e-mahfil-e-aghyar Kaun Hai In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Ab Tak Sharik-e-mahfil-e-aghyar Kaun Hai is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Ab Tak Sharik-e-mahfil-e-aghyar Kaun Hai for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Ab Tak Sharik-e-mahfil-e-aghyar Kaun Hai in PDF.