Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cd8428699fa08964c5b839f9c9476a94, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raat Ajab Aaseb-zada Sa Mausam Tha - Zehra Nigaah Poetry In English - Darsaal

Raat Ajab Aaseb-zada Sa Mausam Tha

raat ajab aaseb-zada sa mausam tha

apna hona aur na hona mubham tha

ek gul-e-tanhai tha jo hamdam tha

KHar o ghubar ka sarmaya bhi kam kam tha

aankh se kaT kaT jate the sare manzar

raat se rang-e-dida-e-hairan barham tha

jis aalam ko hu ka aalam kahte hain

wo aalam tha aur wo aalam paiham tha

KHar KHamida-sar the bagule be-awaz

sahra mein bhi aaj kasi ka matam tha

raushniyan atraf mein 'zehra' raushan thin

aaine mein aks hi tera maddham tha

(1297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ajab Aaseb-zada Sa Mausam Tha In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Raat Ajab Aaseb-zada Sa Mausam Tha is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Raat Ajab Aaseb-zada Sa Mausam Tha for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Raat Ajab Aaseb-zada Sa Mausam Tha in PDF.