Ye Hukm Hai Ki Andhere Ko Raushni Samjho

ye hukm hai ki andhere ko raushni samjho

mile nasheb to koh-o-daman ki baat karo

nahin hai mai na sahi chashm-e-iltifat to hai

nai hai bazm tariq-e-kuhan ki baat karo

fareb-KHurda-e-manzil hain hum ko kya malum

ba-tarz-e-rahbari rahzan ki baat karo

KHizan ne aa ke kaha mere gham se kya hasil

jahan bahaar luTi us chaman ki baat karo

qadam qadam pe farozan hain aansuon ke charagh

unhen bujhao to subh-e-watan ki baat karo

bahaar aae to chup chap hi guzar jae

na rang-o-bu ki na sarw-o-saman ki baat karo

(1456) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Hukm Hai Ki Andhere Ko Raushni Samjho In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Ye Hukm Hai Ki Andhere Ko Raushni Samjho is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Ye Hukm Hai Ki Andhere Ko Raushni Samjho for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Ye Hukm Hai Ki Andhere Ko Raushni Samjho in PDF.