Yun Kahne Ko Pairaya-e-izhaar Bahut Hai

yun kahne ko pairaya-e-izhaar bahut hai

ye dil dil-e-nadan sahi KHuddar bahut hai

diwanon ko ab wusat-e-sahra nahin darkar

wahshat ke liye saya-e-diwar bahut hai

bajta hai gali-kuchon mein naqqara-e-ilzam

mulzim ki KHamoshi ka wafadar bahut hai

jab husn-e-takallum pe kaDa waqt paDe to

aur kuchh bhi na baqi ho to takrar bahut hai

KHud aaina-gar aaina chhoDe to nazar aae

dahka hua har shola-e-ruKHsar bahut hai

munsif ke liye izn-e-samaat pe hain pahre

aur adl ki zanjir mein jhankar bahut hai

(1176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Kahne Ko Pairaya-e-izhaar Bahut Hai In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Yun Kahne Ko Pairaya-e-izhaar Bahut Hai is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Yun Kahne Ko Pairaya-e-izhaar Bahut Hai for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Yun Kahne Ko Pairaya-e-izhaar Bahut Hai in PDF.