Aaj Ki Baat

aaj ki baat nai baat nahin hai aisi

jab kabhi dil se koi guzra hai yaad aai hai

sirf dil hi ne nahin god mein KHamoshi ki

pyar ki baat to har lamhe ne dohrai hai

chupke chupke hi chaTakne do ishaaron ke gulab

dhime dhime hi sulagne do taqazon ke alaw!

rafta rafta hi chhalakne do adaon ki sharab

dhire dhire hi nigahon ke KHazane bikhrao

baat achchhi ho to sab yaad kiya karte hain

kaam suljha ho to rah rah ke KHayal aata hai

dard miTha ho to ruk ruk ke kasak hoti hai

yaad gahri ho to tham tham ke qarar aata hai

dil guzargah hai aahista-KHirami ke liye

tez-gami ko jo apnao to kho jaoge

ek zara der hi palkon ko jhapak lene do

is qadar ghaur se dekhoge to so jaoge

(1165) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Baat In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Aaj Ki Baat is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Aaj Ki Baat for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Aaj Ki Baat in PDF.