Aangan
dar diwar dariche aangan
dahlizen dalan aur kamre
sare rup ye kitne nazuk
socho to miTTi ke khilaune
mere liye ye kunj-e-ibaadat
mere liye ye koh-e-sadaqat
mere liye ye manzil-e-wada
KHuld-e-tahaffuz qasr-e-rifaqat
jis ke raj-singhasan baiThi
main rani hun main bechaari
bahar chahe tufan aaen
lekin yan sab chain se soen
jab jagen tab suraj nikle
so jaen tab chandni mahke
mere ghar wale japte hain
mere nam ki jai-malaen
laxmi chhaya jaanen mujh ko
saraswati sa manen mujh ko
chand dekh ke mujh ko dekhen
hariyali par mujhe chalaen
apna taKHt aur taj sambhaale
shaal doshaale kandhon Dale
baal baal moti pirwaun!
por por mein hire pahnun
kaam-kaj ka pallu Dale!
din bhar ghar se uljhun suljhun
raat ko lekin aankhen munde
pichhli rut ka sawan dekhun
hire lal bikharte jaen
mahl do mahle haTte jaen
chhoTa aangan niche kamre!
dur dur se hath hilaen
bite lamhe jugnu aise
uDte aur chamakte aaen
muTThi bandh ke un ko dekhun
champa phul mahakte jaen
jagmag jagmag sone jaisa
ghar sab ki nazron mein aaya
bhiga aanchal phaila kajal
kis ne dekha kis ne chhupaya
(1180) Peoples Rate This