Ab To Kuchh Aisa Lagta Hai

ab to kuchh aisa lagta hai

sara jag mujh se chhoTa hai

aankhen bhi meri bojhal bojhal

shanon par bhi kuchh rakkha hai

katib-e-waqt ne jate jate

chehre par kuchh likh sa diya hai

aaine mein chehra khole

dekh rahi hun kya likhkha hai

likhkha hai tere rup ka haala

aur kisi ke gird saja hai

likhkha hai zulfon ka do-shaala

aur kisi ne oDh liya hai

likhkha hai aankhon ka piyala

kahin kahin se TuT raha hai

paDh kar mushaf-e-ruKH ki ibarat

dil ko itminan hua hai

ruh talak sarshaar hai meri

aaina hairan hua hai

us ko shayad ilm nahin hai

mera daman ab bhi bhara hai

jo rakhna tha rakkhe hue hun

jo dena tha banT diya hai

(1100) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Kuchh Aisa Lagta Hai In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Ab To Kuchh Aisa Lagta Hai is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Ab To Kuchh Aisa Lagta Hai for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Ab To Kuchh Aisa Lagta Hai in PDF.