Kahani Gul-zamina Ki

gul-zamina!

suno

toda-e-KHak par

apni konpal si ungli se

kya likh rahi ho?

gul-zamina ne sharbat bhari aankhen upar uThain aur kahne lagi

kuchh hi din qabl

ye toda-e-KHak hi mera school tha

main ne allah ka nam

ya-hafizo

us ki diwar par likh diya tha

mere kaghaz, qalam, aur kitaben

mere kumbe ke ham-rah sab miT chuke hain

main yahan roz aati hun

apni yaadon ke baste se

pichhle sabaq DhunDhti hun

safha-e-KHak par un ko likhti hun

aur lauT jati hun

meri qismat mein paDhna nahin hai

na ho!

mera aamoKHta

mera likhna to jari rahe

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahani Gul-zamina Ki In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Kahani Gul-zamina Ki is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Kahani Gul-zamina Ki for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Kahani Gul-zamina Ki in PDF.