Mazi Aur Haal

mazi

do bachche apne kamre se

taron wale kapDe pahne

mere kamre mein aate hain

mujh se lipaT kar so jate hain

aur meri be-KHwab aankhon mein

nind ki ThanDak bhar jati hai

haal

ghar ki biwi

apni aaya se kahti hai

raat gae mere donon bachche

kyun mere kamre mein aate hain?

mujh se lipaT kar so jate hain

tum aaKHir kahe ke liye ho?

meri KHwab-alud aankhon se

sari nind bikhar jati hai

(959) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Mazi Aur Haal In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Mazi Aur Haal is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Mazi Aur Haal for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Mazi Aur Haal in PDF.