Tan-e-nahif Se Amboh-e-jabr Haar Gaya

ab aansuon ke dhundlakon mein raushni dekho

hujum-e-marg se aawaz-e-zindagi ko suno

suno ki tishna-dahan malik-e-sabil hue

suno ki KHak-basar waris-e-fasil hue

rida-e-chaak ne dastar-e-shah ko tar kiya

tan-e-nahif se amboh-e-jabr haar gaya

suno ki hirs-o-hawas qahr-o-zahr ka rela

ghubar-o-KHar o KHash-o-KHak hi ne tham liya

siyahiyan hi muqaddar hon jin nigahon ka

KHuda bachae un aankhon ki shola-bari se

Daro ki zard-ruKHan nim-jaan o KHasta-tanan

hazar bar mare aur lakh bar jiye!

wo log jin ko mayassar na aae marham-e-waqt!

wo log talKHi-e-taqdir banT lete hain

wo hath jin pe ho nafrat ka zang sadiyon se

wo hath lohe ki diwar kaT dete hain

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tan-e-nahif Se Amboh-e-jabr Haar Gaya In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Tan-e-nahif Se Amboh-e-jabr Haar Gaya is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Tan-e-nahif Se Amboh-e-jabr Haar Gaya for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Tan-e-nahif Se Amboh-e-jabr Haar Gaya in PDF.