Zehra Ne Bahut Din Se Kuchh Bhi Nahin Likkha Hai

'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai

haalanki dar-in-asna kya kuchh nahin dekha hai

par likkhe to kya likkhe? aur soche to kya soche?

kuchh fikr bhi mubham hai kuchh hath larazta hai

'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!

diwani nahin itni jo munh mein ho bak jae

chup-shah ka roza bhi yunhi nahin rakkha hai

buDhi bhi nahin itni is tarah wo thak jae

ab jaan ke us ne ye andaz banaya hai

har chiz bhulawe ke sanduq mein rakh di hai

aasani se jine ka achchha ye tariqa hai

'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!

ghar bar, samajhti thi, qila hai hifazat ka

dekha ki grihasti bhi miTTi ka khilauna hai

miTTi ho ki patthar ho hira ho ki moti ho

ghar-bar ke malik ka ghar-bar pe qabza hai

ehsas-e-hukumat ke izhaar ka kya kahna!

inam hai mazhab ka jo hath mein koDa hai

'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!

diwar pe Tanga tha farman rifaqat ka

kya waqt ke dariya ne diwar ko Dhaya hai

farman-e-rifaqat ki taqdis bas itni hai

ek jumbish-e-lab par hai, rishta jo azal ka hai

'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!

do beTon ko kya pala nadan ye samajhti thi

is daulat-e-duniya ki malik wahi tanha hai

par waqt ne aaina kuchh aisa dikhaya hai

taswir ka ye pahlu ab samne aaya hai

baDhte hue bachchon par khulti hui duniya hai

khulti hui duniya ka har bab tamasha hai

man bap ki surat to dekha hua naqsha hai

dekhe hue naqshe ka har rang purana hai

'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!

socha tha bahan bhai dariya hain mohabbat ke

dekha ki kabhi dariya rasta bhi badalta hai

bhai bhi giraftar-e-majburi-e-KHidmat hain

bahnon pe bhi tari hai qismat ka jo likkha hai

ek man hai jo peDon se baaten kiye jati hai

kahne ko hain das bachche aur phir bhi wo tanha hai

'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai

(1347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zehra Ne Bahut Din Se Kuchh Bhi Nahin Likkha Hai In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Zehra Ne Bahut Din Se Kuchh Bhi Nahin Likkha Hai is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Zehra Ne Bahut Din Se Kuchh Bhi Nahin Likkha Hai for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Zehra Ne Bahut Din Se Kuchh Bhi Nahin Likkha Hai in PDF.