Ye Khaal-o-KHad Mere Apne

har ek jism mera hai, har ek jaan meri

ye KHal-o-KHad mere apne, ye aan-ban meri

sitam to ye hai ki mazlum main hun zalim main

har ek zaKHm mujhi se hisab mangega

har ek dagh meri aastin se jhankega

hazar-ha meri peshaniyon ke chand bujhe

hazar-ha mere lab ham-kanar-e-zahr hue

hazar-ha mere jismon ki Daliyan TuTin

hazar-ha meri aankhon ki mishalen Dubin

jahan pe aag lagi hai, wahan khilaune the

jahan pe KHak uDi hai, wahan pe jhule the

jahan pe sard hain sine wahan pe chaukhaT thi

jahan pe band hain aankhen wahan dariche the

main is dhuen mein kahan apni lash ko DhunDun

main is hujum mein kaise shumar-e-zaKHm karun

sitam to ye hai ki mazlum main hun, zalim main

har ek zaKHm mujhi se hisab mangega!

har ek dagh meri aastin se jhankega

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Khaal-o-KHad Mere Apne In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Ye Khaal-o-KHad Mere Apne is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Ye Khaal-o-KHad Mere Apne for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Ye Khaal-o-KHad Mere Apne in PDF.