Main Bach Gai Man

main bach gai man

main bach gai man

tere kachche lahu ki mehndi

mere por por mein rach gai man

main bach gai man

gar mere naqsh ubhar aate

wo phir bhi lahu se bhar jate

meri aankhen raushan ho jati to

tezab ka surma lag jata

saTTe-waTTe mein baT jati

be-kari mein kaam aa jati

har KHwab adhura rah jata

mera qad jo thoDa sa baDhta

mere bap ka qad chhoTa paDta

meri chunari sar se Dhalak jati

mere bhai ki pagDi gir jati

teri lori sunne se pahle

apni nind mein so gai man

anjaan nagar se aai thi

anjaan nagar mein kho gai man

main bach gai man

main bach gai man

(2450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Bach Gai Man In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Main Bach Gai Man is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Main Bach Gai Man for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Main Bach Gai Man in PDF.