Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c992057a78072c1d6e5a07c60427a0a2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Ye Aankhen Kisi Taskin Se Tabinda Nahin - Zia Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Ab Ye Aankhen Kisi Taskin Se Tabinda Nahin

ab ye aankhen kisi taskin se tabinda nahin

main ne rafta se ye jaana hai ki aainda nahin

tere dil mein koi gham mera numainda nahin

aagahi teri mizha par abhi raKHshanda nahin

dil-e-viran dam-e-isa hai gae waqt ki yaad

kaun sa lamha-e-rafta hai ki phir zinda nahin

tu bhi chahe to na aaegi wo biti hui raat

hai wahi chand magar waisa daraKHshinda nahin

abr-e-awara se mujh ko hai wafa ki ummid

barq-e-betab se shikwa hai ki painda nahin

kabhi ghunche ko mahakne se koi rok saka

shauq agar hai to phir izhaar se sharminda nahin

(1720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ye Aankhen Kisi Taskin Se Tabinda Nahin In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Ab Ye Aankhen Kisi Taskin Se Tabinda Nahin is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Ab Ye Aankhen Kisi Taskin Se Tabinda Nahin for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Ab Ye Aankhen Kisi Taskin Se Tabinda Nahin in PDF.