Aankhon Mein Nihan Hai Jo Munajat Wo Tum Ho

aankhon mein nihan hai jo munajat wo tum ho

jis samt safar mein hai meri zat wo tum ho

jo samne hota hai koi aur hai shayad

jo dil mein hai ek KHwab-e-mulaqat wo tum ho

din aae gae jaise sarae mein musafir

Thahri rahi aankhon mein jo ek raat wo tum ho

har baat mein shamil hain tasawwur ke kai rang

har rang-e-tasawwur mein hai jo baat wo tum ho

jab dhul hue rah-e-safar mein to ye jaana

manzil-gah-e-jaan hain jo maqamat wo tum ho

dukh had se jo guzra to khula dil pe ki yun bhi

dar-parda hai jo mahw-e-mudaraat wo tum ho

dil-jui ka andaz bhi narmi bhi wahi hai

sine pe hawa rakhti hai jo hat wo tum ho

baqi to andhere hi muhit-e-dil-o-jaan hain

mahr-o-mah-o-anjum hain jo lamhat wo tum ho

han mujh pe sitam bhi hain bahut waqt ke lekin

kuchh waqt ki hain mujh pe inayat wo tum ho

(1499) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Nihan Hai Jo Munajat Wo Tum Ho In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Aankhon Mein Nihan Hai Jo Munajat Wo Tum Ho is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Aankhon Mein Nihan Hai Jo Munajat Wo Tum Ho for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Aankhon Mein Nihan Hai Jo Munajat Wo Tum Ho in PDF.