Aaj Hi Mahfil Sard PaDi Hai Aaj Hi Dard Farawan Hai

aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai

koi to dil ki baaten chheDo yaro mahfil-e-yaran hai

mere har aadarsh ka aalam ab to aalam-e-viran hai

dil mein teri tamanna jaise mauj-e-reg-e-bayaban hai

panw thakan se chur hain lekin dil mein shoala-e-imkan hai

mere liye ek karb-e-musalsal tera jamal-e-gurezan hai

mujh se milne ke KHwahan ho mil kar rone se hasil

phir wo aag bhaDak uTThegi ab jo rakh mein pinhan hai

ain-KHizan mein hawa ne shayad nam liya hai bahaaron ka

Tahni Tahni kanp uTThi hai patta patta larzan hai

aa to gae hain aane wale kaise istiqbaal karen

ab wo aabaadi suni hai ab wo gharaunda viran hai

tere dukh ko pa kar hum to apna dukh bhi bhul gae

kis ko KHabar thi teri KHamoshi tah-dar-tah ek tufan hai

(1086) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Hi Mahfil Sard PaDi Hai Aaj Hi Dard Farawan Hai In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Aaj Hi Mahfil Sard PaDi Hai Aaj Hi Dard Farawan Hai is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Aaj Hi Mahfil Sard PaDi Hai Aaj Hi Dard Farawan Hai for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Aaj Hi Mahfil Sard PaDi Hai Aaj Hi Dard Farawan Hai in PDF.