Dil Hi Dil Mein Sulag Ke Bujhe Hum Aur Sahe Gham Dur Hi Dur

dil hi dil mein sulag ke bujhe hum aur sahe gham dur hi dur

tum se kaun si aas bandhi thi tum se rahe hum dur hi dur

tum ne hum ko jab bhi dekha shukr-ba-lab the ya KHamosh

yun to aksar roe lekin chhup chhup kam kam dur hi dur

jal jal bujh gai konpal konpal kya kya arman KHak hue

aankhen to bhar lae pa baadal barse chham-chham dur hi dur

ek wo aan ki un ki zara si baat gawara kar na sake

ek ye haal ki yaad mein un ki roe paiham dur hi dur

tark-e-talab par KHush the ki aaKHir kaam liya danai se

kis ko KHabar hai jalte rahe tum jalte rahe hum dur hi dur

(2494) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Hi Dil Mein Sulag Ke Bujhe Hum Aur Sahe Gham Dur Hi Dur In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Dil Hi Dil Mein Sulag Ke Bujhe Hum Aur Sahe Gham Dur Hi Dur is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Dil Hi Dil Mein Sulag Ke Bujhe Hum Aur Sahe Gham Dur Hi Dur for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Dil Hi Dil Mein Sulag Ke Bujhe Hum Aur Sahe Gham Dur Hi Dur in PDF.