Dukh Tamasha To Nahin Hai Ki Dikhaen Baba

dukh tamasha to nahin hai ki dikhaen baba

ro chuke aur na ab hum ko rulaen baba

kaisi dahshat hai ki KHwahish se bhi Dar lagta hai

munjamid ho gai honTon pe duaen baba

maut hai narm-dili ke liye badnam un mein

hain yahan aur bhi kuchh aisi balaen baba

dagh dikhlaen hum un ko to ye miT jaenge kya

gham-gusaron se kaho yun na sataen baba

ham-safiran-e-chaman yaad to karte honge

par qafas tak nahin aatin wo sadaen baba

patte shaKHon se baraste rahe ashkon ki tarah

raat bhar chalti rahin tez hawaen baba

aag jangal mein bhaDakti hai 'ziya' shahr mein baat

kaise bhaDke hue shoalon ko bujhaen baba

(1152) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukh Tamasha To Nahin Hai Ki Dikhaen Baba In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Dukh Tamasha To Nahin Hai Ki Dikhaen Baba is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Dukh Tamasha To Nahin Hai Ki Dikhaen Baba for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Dukh Tamasha To Nahin Hai Ki Dikhaen Baba in PDF.