Ek KHwab Tha Aankhon Mein Jo Ab Ashk-e-sahar Hai

ek KHwab tha aankhon mein jo ab ashk-e-sahar hai

ek tair-e-wahshi tha so wo KHun mein tar hai

wo dur nahin hai ye rasai nahin hoti

har lamha koi taza KHam-e-rahguzar hai

dil aaj kuchh is tarah dhaDakta hai ki jaise

ab shauq-e-mulaqat pe hawi koi Dar hai

kuchh hausla-e-zabt hai kuchh waza hai apni

shoala na bana lab pe jo sine mein sharar hai

sunte to rahe sab ki ye hasrat rahi dil mein

hum par bhi khule zist ka mafhum agar hai

taraj bahaaran hai ki ek jashn-e-junun hai

raqsan hain bagule ki hawa KHak-basar hai

aashufta kiya itna 'ziya' dar-ba-dari ne

bawar nahin aata ki hamara koi ghar hai

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHwab Tha Aankhon Mein Jo Ab Ashk-e-sahar Hai In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Ek KHwab Tha Aankhon Mein Jo Ab Ashk-e-sahar Hai is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Ek KHwab Tha Aankhon Mein Jo Ab Ashk-e-sahar Hai for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Ek KHwab Tha Aankhon Mein Jo Ab Ashk-e-sahar Hai in PDF.