Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe

kahan ka sabr sau sau bar diwanon ke dil TuTe

shikast-e-dil ke KHadshe hi se na-danon ke dil TuTe

gire hain TuT kar kuchh aaine shaKHon ki palkon se

ye kis ki aah thi kyun shabnamistanon ke dil TuTe

is aaraish se to kuchh aur ubhri un ki virani

babulon par bahaar aai to viranon ke dil TuTe

wo mahrumi ka josh-e-KHwab-parwar ab kahan baqi

bar aain itni ummiden ki armanon ke dil TuTe

unhen apne gudaz-e-dil se andaza tha auron ka

jab insanon ke dil dekhe to insanon ke dil TuTe

qafas se husn-e-gul ke qadr-dan ab tak nahin palTe

shagufon ke tabassum se gulistanon ke dil TuTe

'ziya' apni tabahi par unhen bhi naz the kya kya

hamein dekha to sahraon bayabanon ke dil TuTe

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe in PDF.