Kaise Dukh Kitni Chah Se Dekha

kaise dukh kitni chah se dekha

tujhe kis kis nigah se dekha

shiddat-e-la-zawal se chaha

hasrat-e-be-panah se dekha

itna socha tujhe ki duniya ko

hum ne teri nigah se dekha

shauq kya ghair-mo'tabar Thahra

tu ne jab ishtibah se dekha

apni tarik zindagi mein tujhe

KHub-tar mahr o mah se dekha

ahl-e-dil par teri kashish ka asar

apne haal-e-tabah se dekha

dushmanon se jo gham na dekha tha

koshish-e-KHair-KHwah se dekha

gham giran-tar hai koh se jaana

hum subuk-tar hain kah se dekha

daimi duriyon ka sadma 'ziya'

sarsari rasm-o-rah se dekha

(1035) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaise Dukh Kitni Chah Se Dekha In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Kaise Dukh Kitni Chah Se Dekha is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Kaise Dukh Kitni Chah Se Dekha for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Kaise Dukh Kitni Chah Se Dekha in PDF.