Kashkol Hai To La Idhar Aa Kar Laga Sada
kashkol hai to la idhar aa kar laga sada
main pyas banTta hun zarurat nahin to ja
main shahr shahr KHwabon ki gaThri liye phira
be-dam tha ye mal pe gahak koi na tha
patthar pighal ke ret ke manind narm hai
dard itni der sath raha ras aa gaya
sinon mein iztirab hai girya hawa mein hai
kya waqt hai ki shor macha hai dua dua
himmat hai to buland kar aawaz ka alam
chup baiThne se hal nahin hone ka masala
wan shab-gazida sinon ko suraj ata hue
tum bhi wahan gae the 'ziya' tum ko kya mila
(1095) Peoples Rate This