Raste Tera Sahi Sine To Be-nur Nahin

raste tera sahi sine to be-nur nahin

aankh jo dekh rahi hai hamein manzur nahin

peD pat-jhaD mein lahu rote hain afsurda na ho

shaKH mein nam hai to phir mausam-e-gul dur nahin

mushkilen dil mein nai shamen jala deti hain

gham se bujh jaana to durweshon ka dastur nahin

jaane kya gham tha ki chup oDh ke wo baiTh raha

wo kam-amez to hai yaro pa maghrur nahin

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Tera Sahi Sine To Be-nur Nahin In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Raste Tera Sahi Sine To Be-nur Nahin is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Raste Tera Sahi Sine To Be-nur Nahin for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Raste Tera Sahi Sine To Be-nur Nahin in PDF.