Shadab ShaKH-e-dard Ki Har Por Kyun Nahin

shadab shaKH-e-dard ki har por kyun nahin

har barg ek zaban hai to phir shor kyun nahin

warasta-e-azab-e-tamasha hai chashm-e-barg

ai aagahi nigah meri kor kyun nahin

dast-e-sawal-e-barg hai shabnam se kyun tahi

jo baadalon ko luT le wo zor kyun nahin

zist ek barg-e-tishna hai wo abr kya hue

ab un ki koi rah meri or kyun nahin

ye shoala ek barg-e-KHizan hai ki barg-e-gul

aankhon mein teri sham hai kyun bhor kyun nahin

(1138) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shadab ShaKH-e-dard Ki Har Por Kyun Nahin In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Shadab ShaKH-e-dard Ki Har Por Kyun Nahin is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Shadab ShaKH-e-dard Ki Har Por Kyun Nahin for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Shadab ShaKH-e-dard Ki Har Por Kyun Nahin in PDF.