Chaak

1

wo azal se apne azim chaak pe

mumkinat ke inkishaf mein mahw hai

falak-o-zamin mah-o-aftab-o-nujum kohna karishme us ke kamal ke

abhi is ki jiddat-e-be-panah ko tarah-e-nau ki talash hai

abhi arsh-o-farsh ke na-shunida shamail us ki nazar mein hain

abhi mawara-e-KHayal-o-fikr-e-masail us ki nazar mein hain

kurra-e-zamin ko ye faKHr hai

ki ye KHak KHaliq-e-KHaliqan ko aziz hai

yahin sans leti hayat jalwa-numa hui

isi arz-e-KHak ko armughan-e-numu mila

yahan zindagi ke wo rang hain wo tariq hain

ki na un ka koi shumar hai na hisab hai

inhi paikaron mein hai ja-ba-ja wo tilism-e-aks-e-jamal bhi

jise dekh lene se chashm-o-dil hama-hairat-o-hama-be-KHudi

kahin konpalon ko nikhaarta hai wo lazzat-e-nam-e-shaKH se

kahin mu-qalam se sanwarta hai gulon mein rang nae nae

kabhi baKHsha hai dilon ko dard ki jaan-gudaz latafaten

koi rang ho koi rup ho

koi shakl koi mizaj ho

sabhi us ke chaak se aae hain

2

ye sari baaten sach hi sahi

ye sare guman durust sahi

par ye to kaho

qadmon tale raunde patton ki aawaz suni hai tum ne kabhi

murjhae hue phulon se kabhi biti hui rut ki baat hui

kabhi KHauf-zada naKHchiron ki aankhon mein jhank ke dekha hai

kabhi dukhte dilon ki us dhaDkan us dahshat mein bhi sharik hue

jo hote hue bhi na hone ke ehsas se paida hoti hai

phaTi purani shaklon wale

ye apahij ye mazur zaif

ye TuTe phuTe khilaune bhi

usi chaak se aae hain ki nahin

kal jin ki hayat thi barq-asa

paiwand-e-KHas-o-KHashak hue

jinhen dekh ke aankhen raushan thin

pinhan pas-e-parda-e-KHak hue

wo naqsh-gar-e-kaamil hai to phir

jo naqsh-e-jamil banata hai

jo dard dilon mein jagata hai

use ghaarat kyun kar deta hai

fankar-e-azal ko kya apne kisi naqsh pe itminan nahin

3

aadmi-zade kisi rang kisi naqsh ka paband na ho

zist Thahra hua jouhaD nahin mawwaj-o-rawan dariya hai

tu hai ek Thahre hue pal mein talabgar-e-dawam

ye dawam asl mein hai be-hisi-e-marg ka nam

aadmi-zade tere rishte hain baadal ki tarah

ghir ke aate hain baraste hain guzar jate hain

yun bhi hota hai ki kuchh der Thahar jate hain

yun bhi hota hai ki bin barse bikhar jate hain

tu kisi rishte kisi abr ka paband na ho

tu ki hai TuTe khilaune ke liye girya-kunan

dekh ye KHak ke paikar to faqat shakl badal lete hain

inhi TuTe hue bekar khilaunon ki ye miTTi phir se

zist ke chalte hue chaak ke kaam aati hai

phir nae rup mein Dhal jati hai

jaane walon ke liye

miTte rangon ke liye TuTe khilaunon ke liye

tera har nauha baja hai lekin

aane walon ka banaw bhi to dekh

taza konpal ki nazakat mein tanaw bhi to dekh

ki wo fankar-e-azal

aaj bhi apne usi chaak pe hai

(1132) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaak In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Chaak is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Chaak for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Chaak in PDF.