Subh Se Sham Tak

ek shoKHi-bhari doshiza-e-billor-jamal

jis ke honTon pe hai kaliyon ke tabassum ka nikhaar

seemgun ruKH se uThae hue shab-rang naqab

tez raftar uDati hui kohre ka ghubar

ufuq-e-sharq se iThlati hui aati hai

mast aankhon se barasta hai subuhi ka KHumar

phul se jism pe hai shabnami zartar libas

karwaTen leta hai dil mein use chhune ka KHayal

aankhen malte hue jag uThte hain lakhon ehsas

ye hasina mujhe uksati hui aati hai

naghme gunj uTThe hain pazeb ki jhankar ke sath

nuqrai ungliyan aafaq pe lahraati hain

jism ke loch mein simab ki maujen hain rawan

lahren bahon ki thirakti hui bal khati hain

nachte nachte baDhti hai magar rukti hui

dil ko barmata hai us shoKH ka bharpur shabab

us ki garmi meri sanson se koi dur nahin

farsh-e-maKHmal pe bichhi jati hain us ki nazren

nile aanchal mein damakti hui shaffaf jabin

uTThi mashriq se to maghrib ki taraf jhukti hui

muzmahil chehre ki zardi mein hai ruKHsat ka payam

surmagin aankhon pe jhukne ko hain lambi palken

qurmuzi dhaariyan chhan chhan ke siyah zulfon se

jazb ho jati hain dahke hue ruKHsaron mein

zulfen bikhri hui shanon se Dhalak aai hain

sar jhukae hue munh pher ke KHamoshi se

dur maghrib ke dhundlakon mein chali jati hai

mere dil mein hain sulagti hui yaaden us ki

unhi yaadon se meri ruh jali jati hai

kitni tarikiyan chup chap sarak aai hain

(1236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Se Sham Tak In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Subh Se Sham Tak is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Subh Se Sham Tak for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Subh Se Sham Tak in PDF.